Kaam se ghar aate he shaam ko,dekh ke khush hote hai saath poore pariwar ko, byaan karte nahi apni din bhar ki thakan kisi ko, bas koshish karte hai waqt barabar dene ki sabhi ko.

Bahut dur ki socha karte hai vo, jaldi se bhavnao mei bahaa nahi karte hai vo,lagta hai kai baar pathar ka ho dil jaise unka, par soch samajh ke he nirnaya liya karte hai vo.

Na kisi se tareef  ki umeed, na kisi ki karte hai vo jhooti prashansa, Ulajh te nahi hai kisi gapshap mein zyada, bas apne kaam se matlab rakhte hai sabse zyada.

Hazaro sawal chal rahe hote hai mann mei, pata lagne nahi dete es baat ka kisi ko,bahar se dikhate hai jaise kuch hua he na ho, magar rakhte hai hisaab har ek cheez ka vo.

Ghar ki har tooti cheez ki marammat karna, aisa he kuch shauk hota hai unka, Haar nahi maante hai tab tak, kar na de theek uss tooti cheez ko jab tak.

Zindagi unki bhi aasan nahi, rehte hai subah se shaam tak ghar ke bahar vo, Koshish rehti hai unki hamesha yehi, ki kami na ho kisi ko kisi cheez ki kahi.

Chahe mile na mile poora araam, karte hai kahi bar vo itna kaam, Aisa koi kaam jo kabhi kiya na ho pehle, gehrai se samajhte hai usko shuru karne se pehle.

Margdarshak hote hai vo pariwar ke, saath dete hai vo har ek mukaam pe, Bhatak jao agar kabhi apne raste se, saburi ke saath le aate hai vo sahi raste pe.

Chehre se lagte hai swabhaav ke sakht, magar hote hai dil ke sabse naram, Bolte hai thoda kam magar sochte hai sabse zyada, kuch aise he hote hai papa.


Stay connected,
Nikita Kohli

Previous post Enjoy Your Mistakes
Next post Find Your Why

11 thoughts on “Happy Father’s Day

Leave a Reply